Thursday, 30 August 2018

Meri Behn!!!

Meri Behn!!!

Insanyat ,
Adab ,
Haqeqat,
Doori aur apneyat,
Wo be kya haal pochti,
Har baar mera,
Har baar gar ka,
Har baar  mah ka.... 
Aisi fikr bahi ke suba sham, 
Wo apneyat wo nazdeeki,
Door hokar be nazdeek,
kabi ehsas na deya  doori ka,
Wo khloos wo lehja wo aqidat ,
Wo haal pochti mai  muskurata,
Wo meri taraf dekhti mai sharmata,
Lehaz itana ke be hisab,
Khoof itna ke badi behn ka hota,
Eus kay bachay eus ka gar,
Chah kar be nahi miltay,
Doori itni ke koi doori nahi,
Bas wo doori be kya doori,
Jo doori  kabi milnay nahi deti ,
Bas Khab Soch Yaad.....Aur Aap?

Jiger

Sadgi!!!

Sadgi !!!

Sadgi,
Masomyat ,
Sharafat,
Har cheez chehroo say ayan,
Na koi bada na koi chota,
Har koi barabar har koi yakja ,
Na dunya kay gam na dawlat kahi kam,
Doo waqt ki roti jo na ho kam,
Titlun kay manand khmosh udan,
Parendoo kay shoor -o- awaz ,
Bas game dunya yah kahi nahi majood,
Chahray fitratan izhar mohbat kartay ,
Jo yah naseeb hota muft har shai say...
Ameri mai naseeb nahi hota  hai jo dawlat say,
Wah qadr dawlat ki shuhrat ki ,
Jah sadgi ko koi qabool nahi karta,
Pasmandgi  ko jo naseeb say tabeer  kartay ,
Mumkin wah dawlat shuhrat aur ameeri ,
Aur yah sakoon khlooos aur sadgi ,
Wah  na din ka chain na raat ke neend,
Yah din ka sakoon aur raat ke neend,
Wah  gadi be aur baday gar be,
Yahan jangal be aur abshar be ,
Wah donwa (pollution) be aur uljan be,
Yah saaf hawa be aur saaf fiza be,
Tou fir khud ko jank kar dekho gareeb koun aur ameer koun , !
Bas baat ko hum samjay,
Baat ko hum janay ,
Baat ko hum manay,
Hum tou eis chez say bilkul alag nahi!

Aur Tum?

Jiger .

Nainsafi!!!

Nainsafi!!!

Hum nay dekha hai,
Zulm ke intha,
Insaf kahi nahi milta,
Batay hotay waday hotay,
Magar insaf ka naam nisahan nahi,
Yah  jab koi   insaf mangta,
Wah say gali milti ,
Wah say danda chalta,
Wah say damki milti,
Takatwar kamzoor ko gerata,
Ger kar uthnay nahi deta,
Lakh kushish be wo khada honay ki agar ,
Sab ragaan jab utha be uper say danda,
Uper say  zulm par zulm aur zulm,
Yah  insaf ka shab khoon hota,
Jis nay haq ke baat wo kal kotri gaya,
Wo zindan mai band howa,
Yah insaf parsti ke batay karnay walay,
kabi kabi insaf ka khoon kar kay jatay....
Fer hum be khmosh ,wo be khmosh aur tum be 😔

Jiger

Tanhai !!!

Tanhai  !!!

Tanhai,
khmoshi
Khushbu,
Haseen wadioun ke sama,
Absharoun ke gadgadati awazay,
Ganay  jangloun ka hona ,
Pholoun ka khilna,
Gulaboun ke mehak,
Pukaro awaz aati,
Bulawo tou bulatay he raho,
Jo yah say kha wahi wah say suna,
Pahdo ke khushnudi,
Bas aisa lagata yahi kaho ,
Yahi raho aur tanhai,
Aab kahi nahi jawo bas tanhai  ,
Door hokar be sab samnay aata,
Aisa lagta ke janat ka manzar,
Sab kuch dekha,
Sab kuch samja,
Sab kuch jana,
Magar tum.....

Jiger